Adsense India me payment kaise karta hai jankari
India me Adsense Cheque se payment karta ta 2-3 saal pehle lekin ab Adsense hume direct bank par transfer karta hai payment (EFT) Direct Bank Wire Transfer se aap ab aasani se payments receive kar sakte ho jab se adsnse me EFT direct bank transfer ko launch kiya hai tab se hume adsense se payment receive karne me bohut aasani hogayi hai
Adsense par earnings ko kaise paye aj hum baat karenge india me adsense pay kaise karta hai aur bank account adsnse me kaise add kare adsense par account bana ne ke baad aur 2 steps hote hai jinhe complete karna bohot jaruri hai
1. Add bank account
2.Adsense address Verify
Agar aap ye 2 steps complete kardoge toh aapka adsense fully completed hojayega aur bad me koi verification nahi karna padega aur ap bina kisi tenstion ke earning (paise kama sakte ho) aur paise monthly hasil (receive) kar sakte ho.
Adsense Par Kounsa Payment Method Hai ?
Google adsense se agar earning hasil karna chahate ho toh adsnse Par Apka bank add karna padega adsense Bank wire transfer ke madat se apko paise bheje ga (EFT) apka bank add karne ke baad aapki earnings 100$ hone ke bad direct bank par transfer hojayegi and me is post par bataunga bank account kaise add karte hai.
Adsense par payment method add karna bohut jaruri hai bank add karna aasan step hai aur me apko yaha details se batane ki puri koshish karunga
Adsense Par Bank Account Add Kaise Kare (Payment Method)
Bank Account Add Kare Adsense Par
STEPS :-
1. Sabse Phle adsense.com par jaye aur apne account se login kare
2. Ab home page par aapko red colour me notification dikhega " your payments are currently on hold Please verify address" or "Your Payments are currently on hold please add your payment method" iss trahe se message show hoga .
3. Aapko "Settings" wale gear icon par click karna hai (or aap home page se hi "action" ko daba kar directly paymnt settings par ja sakte ho )
4. Settings ko selete karke "Payment" par click karna hai aur fer "Manage Payment Methods" par click karo