Paytm kya hai ap sabhi jante ho lekin paytm use kaise kare aur bank par paisa transfer or receive kaise karte hai iske bare aaj hum is post par bat karenge yadi ap paytm par new user hai toh aapko Paytm par paise add karne me dikkat aarahi hogi aysa aksar hota hai new users ke liye unhe confusing hone ki wajah se vo paise paytm par dal ni sakta kyo ki unhe paytm par money add karna nai ata lekin iss post ko post kar aap jaanjaoge ki paytm use kaise karte hai.
Dosto paytm online servises ke liye bhot helpfull sabit hora hai aur hume ab online shoping , flight ticket book, Movie tiket , Recharges , DTH , Bill Payments , Aur online website ke liye domain v paytm wallet se kharida jara hai kyo ki paytm bhut simple aur aasani se use hone wala e-commeric (e-wallet) hai jisko india ka har ek naagrik istemal karta hai aur karna chata hai.
Paytm Ke Features aur Fayde
1. Paytm se hum recharge kar sakte hai prepaid ya postpaid aur DTH,Google play voucher .
2. Payments send aur receive karna ab aakhon ke palke band chalu hone jitna aasan ho chuka hai.
3. Paytm to Paytm users Money send Kar sakte hai.
4. Paytm Wallet Balance ko Kisi ke b bank par transfer kar sakte hai (without fees)
5. Paytm par cashbacks Aur offers active karke hum paisa save kar sakte hai.
6. Online bookings bus, Ticket, Movie ,flight, train
7. Online hum Bill payments aur Gass payments Kar sakte hai.
8. Paytm ko India ki all sites payments ke dwara accpect karti hai.
9. Paytm se hum online webhosting or domain bhot aasani se buy kar sakte hai aur apna bussness aage tak badega.
10. Online Paytm se trusted sites se shoping kar sakte hai aur online paytm se paisa bhi kamaya jara hai.
● Slide App se paytm cash kaise kamaye
Dosto paytm ke every tarike se use hona shuru ho chuka hai chaiye ap apke naajik dukan par ja kar koi product ya saman karid kar usse paytm se paise bhi pay kar sakte hai.
Future me Paytm wallet ab Paytm payments bank bhi launch karega so jahir c bat hai ki aap paytm ka debit/credit card bhi hasil kar sakte hai pass book ke saath aur apne paise paytm ke bank oar jama karke monthly (biyaj) se apni income kar sakte ho.
Chlo dosto ap jan gaye ho ki paytm kis kis ke kam aata hai av hum jaante hai ki paytm ko use kaise kare.
Paytm Wallet Par Paise Kaise Add Kare?
Agar hume online shoping ya recharge karna hai toh apne pas paytm par balance hona bhog important hai agar paisa ni hai toh hum debit / credit card se paytm par cash add kar sakte hain.
Paytm par money add karne ke bhot se options hai jo option apke layak hai ussi method se ap apna bank ka paisa paytm pr dal sakte ho.
How To Add Cash On Paytm
Iske liye apke pas paytm ka app hona jaruri hai aur apke android phone ja "Webview software" updated version par hona chaiye.
1. Sabse pehle Paytm ka app open kare then "Add money" par click kare.
2. Apna amount enter kare aur "Add money" par click kare.
3. Ab apko money add karne ke option dikhayi dega.
A. Debit ,B. credit, C. Net banking , D. UPI
Iss 4 options se aap apna option chun lijiye . Mene debit ko select kiya hai ap koi bhi option ko select kar sakte.
4. Ab apke debit card ke details ko enter kare.
A. Card No. Is par 15 digits ka number enter kare jo apke card ke front side me rahega.
B. Expiry Month/Year. Atm card ke front side me dikhayi dega usko paytm pr dale.
C. CVC Security code. Ko aap atm card ke back side me dekh sakte hai 3 digits ke no. Ko cvc par enter kare.
Uske bad Pay now par click karde.
5. Ab apke bank provider ke page par redirect hojaye ge ab apke bank pr jo registered no. Ta us no. Par OPT code aayega us code ko enter karke Submit kare
6. Aapka paisa paytm par add ho chuka hai apko 'Sussesfull" Ka page dikhayi dega toh samjh jaye ki paisa add ho chuka h..
FAQ : Question and Answer
Q. Paytm Par Paisa Add Nahi Hua lekin Bank Se Paisa Cut Gaya hai?.
A. Apko iski fikar karne ki jarurat nahi hai aysa kisi network issue ya bank issue se bank paisa cut ho jata hai lekin paytm par add ni hota.but paytm apke paise refund kar deta hai 7 days ke aandhar isliye apko peso ki tention nai lena chaiye.
Paytm Ke Paise Kisi Ke Bhi Bank Par Kaise Transfer Kare
Paytm se hum anytime paisa bank par transfer kar sakte hai aur iska fayda ye hai ki hume bank branch me jakar lambi kaatar line me nahi lagna padta. Dosto paytm sabse jada fast payment karta hai aur bank par jaisa hi hum pesa transfr karenge uske 2 minute ke aandhar apka paisa bank acc par dikhayi dega aur ap kisi b nearist atm se paisa withdraw kar sakte hai.
How To Transfer Paytm Money To Any Bank In India
Iske liye paytm app ko open kare aur "Passbook" par click karde.
1. Ab Apke paytm k balance ke niche "Transfer money to bank" wala option dikhayi dega uspr click kare..
2. Then fer se "Transfer" par click kare
3. Ab bank account ke details sahi se enter kare.
(A. Amount enter kare.) ( B. Account holder name matlab ki bank pr jo nam h usko enter kare. ) ( C. Bank account number enter kare ) ( D. IFSC code ko enter kare -ifsce code apke bank pass book par mil jayega ) sab kuch fill karne k bad " Send par click kare.
Dosto Paytm ka paisa bank account par transfer ho chuka hai agr apka us bank se number connected h toh apko Alert message aajayega.
FAQ - Question & Answer
Q. Paytm kitni dheer me paisa sent karta hai
A. Jaisa ki mene apko bataya ki paytm india ka sabse fast payment transfer krne wala wallet hai so ap jab paisa bank pr send krdoge uske 2 minute me apka paisa bank pr aajayega.
Q. Paytm Se Paisa Transffer kiya lekin Bank par money nahi aya aur paytm se paisa cut gya (failure/failed)
Sometimes dosto Paytm se paisa deducted hojata h. Aur "Failed " ya "Pending" ka option dikhayi deta hai. So aysa hone pr apko paytm ko contact karna chaiye ya apko 24 hours tak wait karna pad sakta h.
Paytm Se Mobile Recharge Kaise Kare
Paytm se kisi ka v recharge krna bhot asan hai iske ap paytm ka app open kare. Aur Mobile Prepaid option par click kare.
1. Ab ap jiska recharge krna hai uska number enter kare aur circle select karke amounr enter kare uske bad "Fast forward" par tick karke "Proceed to pay" par click kardijiye.
2. Done recharge sussesfully ho chuka hai aur pesa apke paytm se deducted ho chuka hai.
FAQ - Question & Answer
Q. Mene galti se Recharge karte time wrong number daldiya ta ab us balance ko kaise wapas paye ? (Mistyped no.)
A. Dosto agr apse glti se kisi glt no. Par recharge hogya hai toh maf kare kyo ki paytm iske mamle me koi help ni kar sakta apki..
Paytm To Paytm User Paisa Kaise Send Kare
Agr apke friend ya kisi bhi family member ke paytm pr pesa send krna h toh sabse phle pytm app open krke "Pay" par click kare
1. Ap "Enter mobile no." Pr click karde.
2. Ab paytm user ka number dalkr amount enter karke Proceed par click karde.
Paisa Sussesfully other paytm user ko send ho chuka h.
Dosto paytm par ap aur bhi use kar sakte ho aur paytm har tarike se use kiya jaa sakta h google play ka voucher bhi ap kharid sakte ho aur games app ko google play se purchase kr sakte h.
I hope friends ki apke liye ye article helpfull hoga agr apko samajni aara toh dubara se ise padhiye. Apke friends & family ke saath paytm ko use karne ke tarike jarur share kare thanks.
No comments:
Post a Comment