Uc Union Par Paise Kaise Kamaye Online
hello Friends aaj hum janengey uc-union.com se per month 7000 se 10,000rs tak kaise kamaye online paise kamane ka aasan tarika yehi hai aur me isi ke bare me apko jankari dera hu uc union se online money earning karne ke liye apke pas koi bhi site or agr site nahi hai toh bhi earning kar sakte ho uc union best aur aasan tarika hai online paise kamane ka Apps share karke ap monthly acha paisa kama sakte ho so hum bat karte hai uc union se paise kaise kamaye in hindi.
Meine apni earning ki shuruwat uc union se kiya aur achi earning karta ta but ab main google adsense se paise kama raha hu lekin uc union par mera bhut acha earning ka experince raha hai aur jab bhi koi mere pas earning trick jan ne ke liye aata hai toh mein usse uc se paise kamane ke liye suggest karta hoon becouse uc union mein jyada time nahi lagta hai aur payment threshold bhi 10$ hai jo ki har koi aasani se paise bank par hasil kar sakta hai aagar aap bhi earning (online paise kamane ki shuruwat karna chahate ho to me suggest karunga ki sabse pehle uc union se earning kare kyun ki aapka vishvash badega aur ap badme adsense jaise bade adnetworks bhi join kar paaoge.
Chaliye mein apko bataunga how to earn money uc union online bina jyada time waste kiye aap achi khasi earning kar sakte ho to hum puri details me samjha ne ki koshish krunga.
UC union Kya Trusted Site Hai?
Yes, bilkul uc fully trusted site hai aur payments me koi rukawat nai hogi
UC union Kya Hai Isme Paise Kaise Kamaye?
Uc union.com Alibaba ki partner hai ap uc browser or UC mini browser toh chalate hi hoge na? Ye uc union unhi developers ne offer kiya hai publishers aur advertisers ke liye toh sochiye aphi kitna behtaar hoga ispe publisher ban na!
Har earning site ke aalag aalag facilities hoti hai jaise CPC,PPI,CPM etc lekin click per cost par achi earning karna khas kar namunkin hai beginners ke liye to uc union par apko clicks se earnings nahi milegi sirf apko android app ki ek unique link di jayegi jisse apko share karna hai kahi bhi facebook ya whatsapp par aur jab koi apki digayi link ka app install karta hai toh apko uska profit deta hai uc union jaise 9Apps per install price 0.20$ hai agar aap per day main 10 install bhi kara doge toh ek din me 2$ toh aasano se earning hojayegi aur bhi apps ke rates hai uske bare me bhi bataunga pehle uc union earning kaise deta hai iske bare me bataunga....
AppsShare Program CPI
se aap ek din me chahe toh 10$ kama sakte ho bus ye ap par aur hard work me depend karta hai har apps ka aalag cost aur GEO hota hai Uc union ko sirf un apps ke install chahiye aur apps ke installs ke badle me apko profit milta hai aur actualy ye bhot hi aasan hai iske liye apke pas jyadi knowladge hona jaruri nai hein.
Uc union Payment Kaise Karta Hai?
Payments (EFT) Direct Bank Wire Transfer Hojayegi Paise directly apke bank par bhej diye jayenge
1. Bank wire transfer
2. Payoneer
3. WebMoney
4. Paypal (suspend ho chuka hai future me available ho sakta hai)
UC Union Payment Date (Tariq) Kya Hai?
Jab aapki earning 10$ se jyada hojaye tab Payment message par aap jaa kar dekh sakte ho
Payment ki date :- Earnings 25th iss mahine ko Note karliye jayegi (Proccess) aur aagle mahine 15th tak transfferd kardiye jayegi (bank me paise aane me 2-3 days tak lag sakte hai)
Yeh te kuch Question aur answer ab hum baat karenge uc union ke bare me aur uc union account kaise banaye
UC union Par Account Kaise Banaye
Uc par account banane ke liye apke pas ek site ya blog hona jaruri hai sirf uc union me dalne ke liye agar site or blog nahi hai toh koi baat nahi aap apne facebook profile ki link (url) b submit kr sakte ho...
1. Frist of all Uc-union.com par visit kare aur Signup Par click kare
2. ab apni information sahi se fill (dale) kare
A. Username ( login karne ke liye jaruri hain )
B. Pasword ( Password Hard rakhe)
C. Confrim Pas. (ReType kare Pasword)
D. Country (apni country selete kare india)
E. Online Contact (apne fb profile ki link ya yahoo dalein)
F. Email (Personal email address enter kare email verify karne ni jarurat nai he)
G. Celphone Number. (Mobile number enter kare)
H. Terms & Policy (agree kare)
I. Submit (sab details sahi fill karne k baad submit karle)
3. Account Signup hone ke baad home page se "Management" par click kare
4. Now "Submit Application/site" par dabaye
5. Site ko selete kare agr ap affiliate link ki madat se monetization karna chahte ho toh site ke baju wale option par dabaye Enter
6. Ab a) Site Name b) Site URL c)Categery selete karke Continue karley.
7. Ab Promotional Link (affilate) ko choone Cooparate me click kare ( agr apke pas wapka site hai toh ap ad code ko choon sakte ho)
8. Ab akhiri step me ache se dhayan se fill karna hai
A. Cooparate :- Cash ( agar cash paise ke liye promote karna hai toh cash ko choone) or agar ap traffic chate toh to traffic ko choon sakte hein)
B. Type :- affiliate (non dynamic ads - CPI model for site/App/ads network)
C. Source Name :- Apne site ka name dale
D. Source Url :- apni site dale
E. Categery :- Blog
F. Integration method :- LINK Ab Continue par click karde
9. Ab ek msg show hoga "congratulation etc" apne sab karliya hai ab apki request approve hone me 3 din ka time lagega or 1 din me bhi approved ho sakta hai.
Uc Union Par Site 3 din bad Approved hone Par Kya kare
Three days bad apki site approved hojayegi aur apki email me msg b aayega ab bari hai uc union mein affiliate app link se paise kaise kamaye iski jankari toh dosto apki site approved hone ke bad ab sirf apko simply innhe follow karna hai
STEPS :-
1. Uc union Pe Login Kare aur managment me jakar Check Campaign List me click karna hai
2. Campaign List me apko android apps ki list aur Price + Geo dikhega apko jo price rate pasand aaye jaise ki 9apps 0.20$ toh "Promote" par click kare
3. Promote mein click karne ke baad apko uss app ki details milegi aur unique affiliate app promotional link milegi uss link ko copy karna hain.
4. App ki link (url) copy karne ke baad jahan chahe waha ap kisi se bhi ye link se app dwnload karne ke liye request kar sakte ho aur social sites me bhi link share kar sakte ho.
Jab koi apki digayi link se app download karta hai tab apki uc union par earning hoti hai jaise ki 9apps ka rate 0.20$ hai per install toh 5 installs ke 1$ 70rs indian jab apki earning 10$ se jyada hoyi toh ap Payment message me jakr check kar sakte ho transtition.
Questions & Answers
Kya Me Khud ki Link Se Froud install kar sakta hu?
Malclious or froud install karne par apko payments nai milegi aur ha dusre ad networks ki traha ye bhi bhot strick hai so cheatings are not allowed.
Install Count Nahi Horahe Hai?
Agar ap link share karne par b install count nai hora hai to iska region ho sakta hai ki apke link se installs thek se nai hore hai.
Install Report Kab Count Hogi ?
Installs ke time ka period uc-union aalag hai agar aj 1st date ke installs dekhna hai to 2nd day Ko counts kiye jate hai yesturday earnings..
Final Words
Me umeed karta hu ki apne uc union par signup karliya hai aur uc union par apki earning horahi hogi toh aj humne jaanliya hai ki uc union se paise kaise kamaye online full trick aur uc union par account kaise banaye and uc union se per day 100$ kaise kamaye agar koi question puchna hai toh puch sakte ho (How to Earn uc union Money online)
Tags:- Uc union.com, Online Earn Get paid, uc account , create uc kaise kare , uc union paise kaise , earn kare uc union , Uc union details , Jankari All hindi
Thank you for sharing!! Sir meri site pr google adsense ads hai toh UC union ko adsense k sath apne blog http://techearnblog.com pr use kr skta hu kya? koi problem toh nhi hogi...I hope you will solve my doubt :)
ReplyDeleteAshutosh, welcome and jo apne question pucha " Kya aap Adsense ke ads ke saath durse adnetwork ke ads apni blog par laga sakte hai?
DeleteYah,aap uc union ke ads bhi apni blog par laga sakte hai adsense k ads ke saath. Lekin jyade ads lagane se users ka exprince kam ho sakta hai isliye kam ads use kare content ke hisab se
But Ad code ke bajaye ap direct affiliate link bhi use kar sakte ho jo ki better tarika hai.
Hello, sir
ReplyDeleteMene uc Union ko 7/2/17 ko join kara or earning start ki..par sir mera total balance 39$ hai ...par payment massage par (there is no data for this view) show ho raha hai..me payment withdraw Kaise karu..
Apki post me likha hai..25 date ko payment record hoti hai..par sir aaj 1 date hai..par kuchh data show nhi ho raha hai..help plz
yash ji aap k pass uc union account kya hum ko da sakte hai plz hum poor hai. plz hum ko help kejiya na plz plz plz plz plz plz plz plz plz plz plz help me yash ji. plz
DeleteYesh bhai, Aapne payment method India bank transfer select kiya ya fer internation bank transfer.
Delete