Blog Banane ke bad adsense ke liye kab apply kare killer Tips - Indiwiki

Blogging Seekho,Online Paise Kamaye,SEO-Internet ki jankari aur tricks

Recent Posts

Hot

Post Top Ad

20 April 2017

Blog Banane ke bad adsense ke liye kab apply kare killer Tips

Adsense par Frist Attempt Par Account Approved Kaise karaye ? Killer Tips 
adsense apply kare blog complete hohe bad
When Should i apply for adsense


Dosto hinglish aur hindi bloggers ka income karne ka sabse jada main source adsense hai par new beginners bina kuch soche samjhe hi apna account jald bazi me adsense par apply kar dete hai aur iska natija unhe badme malum padta hai to aj me apko is post par batane jara hu ki blog banane ke bad Adsense ko ek din me approve kaise kare Top Killer Tips
 
 Me ye bolra hu ki new jo bloggers hai vo apna blog banane ke 2 din bad adsense par apply kr dete hai bina uski terms ko padhkar apply karne se uska result ye aata hai ki apka application reject or disapproved hoja ta h. So in this post apko aysi best tips dunga jinhe ap follow kar apna account bhot jald approved krwa sakte h.
       
  TOP KILLER AND EXELENT TIPS TO GET ADSENSE APPROVE WITH IN A DAY 
           
Dosto adsense ki terms aur policy ko ignore kabhi mat karna kyo ki ise ignore karne se humara nuksan hota hai adsense ki tarah chitka , bdvertiser advertise jaise aur bhi networks hai lekin sabse jada high pay karne wala source sirf adsense hai aur hum sab b adsense se paise kamana chate h.

But adsense par humara account approve nai hone ke karan har ek blogger janna chata hai. But apko nerash hone ki jarurt nai becouse ap apne blog par basic sudhar karke adsense pr acc approve kra sakte ho.
           
  1 . New Blog Banane Ke Bad Kya Kare 
  • Blog ko bana kar apko sabse pehle uska design change karna chahiye agar apka design kharb dikhega to apka b blog par posts likhne ka mood kharb rahega isliye ap sabse phle apne blog par SEO friendly Responsive Template Ko laga lijiye.
  • Bloggr par acha design laga ne ke bad Jis topic par apko jis topic par posts likhne me best lagta h us topic par Posts likh di jiye. 
  • Post ko jada se jada bada likhne ki kosish kare mera matlab ye nahi ki ap kuj bhi likhte jao etc etc i mean ap vo likhe jo apke topic se related ho. Mera matlv post par topic ke bare me ache se samjhane ki puri kosish kare aur ye kosish kare ki apki post 500 words se jada ho na ki kum.
  • Blog par jitne posts likh sakte ho likh dijiye iske liye chahe apko 6 din 10 din bhi kyo na lag jaye lekin ap posts jada se jada likhne par dhayan de ( Min. 30 posts )
  • Post par featured image use karna mat bhule kyo ki ye bhot important source hai blog ke post ki quality badhane ke liye featured image ko apke post ke top par hona chaiye     
      
Adsense Par Apply karne Se phle ki jarur Tips
           
Hum jab adsense par application submit karte hai tab humari blog par adsense ki team review karti hai sabse pehle vo blog ke design aur Posts ki quality , Important widgets , Important Pages  ko dekhti hai agar apke widgets etc requirment ke hisab se nahi rahegi toh apka application Disapprove hone ke bhot chances hai
     
  Important Pages 
     
  • Jaruri pages add karna mat bhule jese ki "Contact us' " About us " Privacy Policy " ye teen pages apke blog ke footer par hona bhot important h.        
       
Important Widgets 
       
  • Widgets kya hai ye to hum sab jante hai lekin sabse jada important widgets konsi hai vo bhi jaan lete hain.
  • 1. Contact form (Apke vistors ko apse contact karne ka asan tarika)
  • 2. Most Popular post ( ye widgets bhi important hai )
              
CopyRight - Do Not Copy Paste 
          
  • Agar ap sochre hai ki kisi dusre ke blog ki posts ko copy karke apni blog par paste krne se humari posts compelete hojaye gi aur traffic b milega but apka ye thought tottaly wrong hai kyo ki Adsense ki team apki blog ko scanning karke copyright ka pata aasani se laga leti hai.
  • Agar apke blog par ek b post kisi aur ke blog se copy kiya hua hai toh ap adsense se income karne ke bare me bhul jaye.
  • Mera matlab ye hai ki ap apni kudki posts ko likhe. Kudki post likhne par hume ye realize hota h ki iske hum kud owner h aur ye hum ne kud is post ko likha hai. ( jindagi me shorcut kabhi na le) behtar yehi hai ki kisi aur ka kam kharb karke apna kam badane ki kabhi mat soche aysa karne ap kud kabhi bhi sussesfull nahi banege iss bat ko sirf me nai kehra ye bat ap dusre bloggers ke post par bhi dekh sakte ho.
  • Dusri imprtant bat . Blog post par photo google se copy karke mat dale. Apko free copyright ke photos provide krne wali bhot c sites mil jaye gi.
               
Dusre advertisers ke ads 
        
  •  Adsense par apply karne se pehle dusri adnetwork ke ads nikal de
Sub domain 
       
 Apke blog ka subdomain hai jese ki abcdefgh.subdomain.com ya abcdefgh.myntra.com toh adsense ise accpect nahi krta apka domain istra ka hona chaiye apkadomain.com
             
  #Adsense Ke Liye Kab Apply Kare? 
             
 Ye question har koi puchta hai iska javab ye hai ki ap jab upar diye gaye steps ko sahi se follow karege tab ap adsense k liye khushi se apply kare. Aur i hope ki apki site bahut jald approve ho jayegi.
   
 ● adsense ke liye kab apply kare uski puri jankari Terms and policy in hindi
     
● adsense par account kaise banaye step by step

 Dosto agar aap in steps ko carefully follow karege to apka account jald approve hoga. Actual me ye mera experiance hai ise me kud try kar chuka hu. Aap bhi jarur try kare aur jada nerash mat hoyi hai. Thanks

1 comment:

  1. ą¤Æे ą¤¬िą¤²्ą¤•ुą¤² ą¤‰ą¤Ŗą¤Æोą¤—ी ą¤Ÿिą¤Ŗ्ą¤ø ą¤¦ेą¤Øे ą¤•े ą¤²िą¤ ą¤§ą¤Ø्ą¤Æą¤µाą¤¦ ..

    ReplyDelete

Post Top Ad