Sitemap Ko Google Par Kaise Submit Kare Step by Step - Indiwiki

Blogging Seekho,Online Paise Kamaye,SEO-Internet ki jankari aur tricks

Recent Posts

Hot

Post Top Ad

08 April 2017

Sitemap Ko Google Par Kaise Submit Kare Step by Step

Google Search Consule Par SiteMap Ko Kaise Add Kare Complete Steps

 

New bloggers ki blog ke posts ko google search par lane ke liye hume google search robots ki help karni hoti hai sitemap ko google search (webmaster tools) par submit karke aksar naye bloggers sochte hai ki only Paisa barne par google, bing apni post ko show karta hai lekin aysa nahi hai google search free hai aur ispr koi bhi normal blogger ya site ka owner free me apni site ko google search par laa sakta hai.

 

Sabse pehle hume ye jaana jaruri hai ki Sitemap kya hai aur ye kaise google ki madat krta hai apni blog ko index karne me.

 

Sitemap Kya Hai

 

Sitemap ek XML file hai jispar apke blog ke sare urls hote hai aur search console ( free webmaster tool ) hai jispar ap sitemap ko dalkar google robots ko apka blog index karne me help kar sakte hai.

 

Sitemap ko google par add karne se apki blog ko google robots ko samajne me aasani hoti hai then jab google ke robots ko jab apki blog ke bare me aasani se samajh me ayega tab ye jahirr c bat h apki blog jald google par dikhne lagegi. Sitemap XML file hai aur iske andhar humari blog ke urls hote hai jo ki google ko pata krne me bhot asani hoti hai.
    
Wordpress par ap sabse Mashur Yoast SEO plugin ko istemal kar sakte hai vo automaticaly apki posts ke urls google pr dal deta hai aur blogspot ke liye hume apna custom site map ko geranate karna hota hai hume aysa karne ke online Sitemap geranetor ke tools free me mil jayege but aaj me apko bina sitemap geranate kiye hi yaha par sitemap ki link apko dera hu so ap jan gaye ho ki site map kya hai ab hum steps ko badate hai.

 

Blogger Sitemap ko Google Search Par Kaise Submit kare 

 

Iske liye google webmaster par login kare

1. Ab apki site blog ko select kare then "Crawal" par click kare aur "Sitemaps" par jaye.

 

2. Ab "Add/test Sitemaps" par click kare aur ek popup window khulegi uspar sitemap ki link dale


3. Ap yaha se sitemap link copy kare " atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500  aur ise apki blog url ke baju paste kare aur fir "Submit " par click karde.

 

Aapki sitemap submit ho chuki hai lekin ek baar dhayan de ye only 500 posts ko index karne ke liye hai yadi apki posts 500 se jyada hai toh niche aur bhi sitemaps dera hu usse submit kare.

 

■ 1000 posts ke liye site map add kare (501)

 

atom.xml?redirect=false&start-index=501&max-results=500

■ 1500 posts hai toh ye add kare (1001)

atom.xml?redirect=false&start-index=1001&max-results=500

 
Dosto ye jo sitemaps hai xml ki files hai jispar humari posts ki links hai jo ki google ko batata hai ki ye kab published ki gayi hai aur kitni posts humari blog par hai and mujhe umeed hai ki aapne google par apna sitemap submit kardiye hoge.
 
Thanks dosto i hope ki apko ye post achhi lagi is post ko jarur share kare taki doosre new beginners ko bhi iski achi jankari ho.

2 comments:

Post Top Ad