Blogspot Blog Par Template Change Or Upload Kaise Kare - Indiwiki

Blogging Seekho,Online Paise Kamaye,SEO-Internet ki jankari aur tricks

Recent Posts

Hot

Post Top Ad

22 July 2016

Blogspot Blog Par Template Change Or Upload Kaise Kare

Blogspot Blogger Par Template Upload or change kaise kare - template zip file ko xml file me kaise Extract/Unzip Kare Step by Step

Hi, agar aap blogger (blogspot) par new hai aur kuch samjh me nai aara hai to koi bat nahi apko main puri tareh se samjhane ki kosish karunga aur aaj bataunga ki custom template ko download karke blogger me kaise upload karte hai step to step bataunga.

   

Blog banne ke bad sabse badi problem traffic ki hoti hai traffic increase nahi hone ke ka (resions) bhot hai un mese ek reasion hai template seo friendly aur responsive nahi hona ,hum blog banakar articles (posts) publish to kar lete hai lekin traffic nahi aane ki wajah se hum blogging chhod dete hai aisa isliye kyu ki visitors Post ke saath saath design ko bhi dhyan me rakhte hai agr apke blog ka look kharb hai to apke blog me koi visit nahi katega mein pehle b bta chuka hu ki look agar high class ho to har koi apni blog/site par aana pasand karega blogger ke liye google me bhut sare free or paid templates miljayege jisko ap apni blog par laga sakte ho uske liye todi bahut jankari honi chahiye to me batata hu kya aur kaise karna hai

       

Blogger Template Kaise Honi Chahiye 

     
Blog blogspot ki template download karne se pehle ye janna jaruri hai ki blog ki template kaise honi chahiye
       

1.SEO Friendly Search Engine Optimize Sabse jyada important Feature jo ki template hona jaruri hai bina seo friendly template ke apki blog google par bilkul b nahi dikhegi template seo friendly honi chahiye.

2.Mobile Friendly - Responsive template har phone me kam karti hai aur automatic apna size arjust karti hai PC- desktop - High end - Mobile Me template bilkul fit betegi aur visitors ko aasani hogi mobile me site open karne me

3.Fast Loading - A apki template fast loading ho taki Apko blog jaldi khule becouse loading me agar time lagega to visitor apki blog ko chhod kar dusri blog me chalajayega

Blogger Par Template Kaha Se Download Kare

Blog ke liye free templates (theme)download karne wali google par apko bahut sari sites miljayegi aur aap inn sites se bhi apne blogspot blogger ke liye free main templates ko download kar skate ho 

1. Gooyabitemplates.com.

2. Btemplates.com.

3. Webdesignrazzi.com.

Chaliye ap ye to jan hi gaye hoge ki blog tmplate kaise honi chahiye aur Blog ke liye template kaha se download kare free main ab hum steps aage badhate hai.

Blogger Par Template Kaise Uplaod or Change Kare

Step by step dhayan se follow kare

1. apne template download karliya hoga agr nahi kiya hai to ap . Blogger SEO Friendly Responsive Templates ki post padhiye aur template downlaod karle

2. Template Zip file me download hoti hai apko isse unzip or extract karna hai 

Template download karne ke bad Extrct or unzip kaise kare

Extract or Unzip

• Phone me file manager or Es file manager ko open kare 

• me es file manager istemal kara hu inn steps ke liye aap koi aur file manage ko use kar sakte hai

● File manager open karne ke baad downloads or jis folder me apko template zip file hai vaha jaye aur uss templte ko dabaye (hold for 2 sec) fer kuch options aayege apko "Extract to" par click karna hai

2. Extract par click karne ke bad ek popup khulegi ab apko "ok" par click krna hai

3. Fr kuch secnds bad tmplte unzip hojaye ab ap usske folder ko open kar sakte hai

4. Unzip kare wali template ke folder me jaye aur jo .xml wali file hai vohi apki template hai

Template to unzip or extract hogayi hai ab aakhiri 1minute se b kam samhe me template ko upload kr sakte h.

Blogger Par Apni Pasand ka Template Kaise Lagaye

   
Steps :-

1. Sabse phle Blogger par jaye aur blog par login kare

● Ab "Template" par click kare
● new template upload krne se pehle apki purani template ko "backup/restore" pe click karke download kar de agar new template me koi problem aayi to ap apni backup wali template ko fr se blog par upload kr sakte hai ( Backup copy krna jruri h)


2. back/restore par click karne par ek popup window khulegi

1. Choose jo template dwnlod ki hai usse select kare phone pr se ( XML file)

2. template ko file manager folder me se selete krne ke baad ab Upload Par click kardo

3. Template upload hogayi hai ab ap chahe to Widgets etc add or remove kar sakte hai

4. agar aap aapke template ko Mobile par bhi show karna chahate ho toh template ke setion se aapko mobile preview ke Setting ke gear icon par click karna hai aur popup window par kuch options aayege aapko "Show Desktop template to Mobile or Disabled Mobile" par tick karke save karna hai iss se aapka,template mobile par show hoga


Template mobile preview me disable karne se apki desktop responsive template mobile me dikhegi.

I hope Ap jan gaye ho template kaha se download kare aur blogspot blog par template upload or change kaise kare aur b jankari ke liye blogspot wale categery me jaye . Blogspot Blogger template extract aur unzip karne ke bad ap usse apne hisab se edit or customize kar sakte ho. Apke friends or social media par jarur share kare iss post ko thank you

2 comments:

  1. Sir jab b me blog per template upload krta hu to jeh aata hai....... We were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
    (SyntaxError) : Unexpected token <


    Aab muja kya mRNA chaiya

    ReplyDelete
  2. Bhai i think aapne template ko edit kiya hai aur usme koi code mistake hogya hoga. Isliye template upload ni hora haii..agr ap dusra uplod kroge toh hojayega

    ReplyDelete

Post Top Ad