(POST UPDATED - FROM 2016 - 2017 APRIL)
Hi dosto aj ek dost ne mujhe bataya ki apko post update karni chaiye kyo ki meri post dawn hoti jari hai kyo ki dusre log bhi isi tareh ke tricks share kar rahe hai anyway aaj me is updated post me puri tareh se details se samjhaunga ki fb account verified kaise banate hai proof aur bina proof ke.
Fb verify account ke benefits toh ap sab jante hi hai agar nahi janty ho toh chlo me apko batata hu fb verified accounts ke kya kya fayde hai.
Facebook Verified Account Ke Kya Fayde
● Enemy apki id par jitne chahe utne reports mar de lekin apki id nahi udegi.
● Facebook par id nahi udegi aur ap chahiye toh kisi aur ki id ko apni id se uda sakte hain.
In short form me itna hi kahunga ki ek verified facebook account kabhi bhi block nahi hoga chahe koi b reports kitne bhi kyo na marle. Lekin fully verified id honi chaiye....
Bythe way today in this post im going to tech you in this topics :-
1. Kudki Facebook id Kaise Udaye.
2. Facebook id udane ke bad Orignal Proof se Id verify Kaise kare.
3. Facebook Me Payment method debit/credit add kar facebook verify kaise kare.
4. Facebook Par Fake Id Proof se Id verify kare
Ye four methods apko clearly batane jara hu aur aap toh jante hi ho verious link aajkal facebook id udane me work nahi krti hai lekin me apko verious link ke bina hi facebook account ko verious message se udane ke bare me bataunga.
Facebook Account Verified Kaise Banaye With or Without Govt Proof
Ye methods lagne me bhot muskil lagta hai par aysa nahi hai kyo ki ye bhot hi simple hai agr ap sahi se steps ko follow karoge to 100% apki id verify hojayegi chaliye hum steps by steps ki shuruwat karte hai.
● Facebook Disabled/locked id Kaise Open kare
● Facebook Page Par Grey Tick kaise lagaye Step by step
● Fb Profile Par Verified Blue/black Badge kaise lagaye
ISSE PADHO : Ek jaruri bat Yaad rahe aapki facebook ka name and dob orignal govt proof se match hona chaiye agar match nahi hai toh me apko ek tip deta hu.
Tips : Ye steps follow karne se phle ap apni fb id ka name and date of birth ko change kardijiye jo apki id proof se match karta hai (Only es verify Proccess ke liye badme ap wapas change kr sakte ho)
Steps by Steps
#1 Fb Crash Kare
Id verify karne ke liye sabse pehle hume apna account crash karna padega uske liye hume Niche ek box par verious Message copy karke facebook par kisi ke message ya direct status par post kar dena hai.
Then apki id automatic logout hojayegi aur apki id verification me chale jayegi.
#Facebook Account Orignal Proof Se Verify Kare
● Jab apki facebook account block hojati hai tab apko ek form bharna padta hai i mean apko government issued id card ki clear photo ko fb team ko send karna hota hai.
● Agar apke pas orignal govt proof licance ,PAN card, School id card etc etc hai toh aapko uski ek apne camera se photo front side aur back side se photo kich kar facebook par submit karna hota hai. facebook Konsi konsi proof accpect karta hai uske liye ye post padhiye " Facebook Accpectable Govt proofs list "
1. Sabse pehle es par jaye "Submit Proof On Facebook" then apki fb email address dale.
2. Ab "Choose" par click karke govt id prof ko gallery se select kare aur fer "Send" par click kare.
Submit hone ke kuch ghante bad facebook ke computers apka proof scan karege aur fer sab sahi raha toh apki id reopen hojayegi aur reopen hone ke saath saath Verified hojaye gi.
Id review hone me 2hrs to 1 day tak lagta hai sussesfully hua ya nahi ye apko email ke dwara pata chal jayega.
Anyway agar apko facebook id Par proof submit karkar account verify nahi karna hai toh aap apni credit/debit card ko facebook par dalkar verify kar sakte hai vo kaise me batata hoon.
#3 Facebook Account Verify With Credit/Debit card
Fb account ko verify karne ka sabse easy tarika ap credit/debit card ko facebook par add kar ke apni id ko fully verify kar sakte ho jii ha..
Es trick k liye apke pas credit/debit card hona chahiye aur haa ye tarika 100% secure hai and iske liye apko payment nahi karna hota hai.
Fb account ko verify kaise kare debit/credit card se.
1. Sabse pehle facebook.com par desktop par se visit kare.
2. "Settings" par jakar "Payments" par click kare.
3. "Account Setting" par click kare then "Add Payment Method" par click kare.
4. Ab apke samne popup window khulegi uspar credit card ka no.Expire date aur CVC no. Ko fill karke then "Save" par click kardijiye.
Sussesfully facebook id verify ho chuki hai isme kisi bat ka doubt najo kyo ki credit/debit bhi govt issued proof hai. Agar aapke pas credit card aur orignal proof b nahi hai toh kya kare??
#4 Fb Id Fake Proof Se Verify Kare
Facebook ki bat kare to aadhe se jyade log apni details facebook par galat dalte hai aur ye facebook ki policy ke khilap hai isliye unki id bhi bhot jald udjati hai agar aap b unlogo me se hai to apke liye ye methods hai lekin me apko is methods ko follow karne ke liye bilkul nahi kahunga .anyway agr apke pas koi proof nahi hai to hi use kare is method ko.
Fb id fake proof se kaise verify kare.
1. Android phone par "PicArt Photo editor" app ko install & open kare.
2. Lekin us se pehle ap blank voter id card ko download kare idhar se.
3. Uske bad picart par apko name and date of birth dalna hai "text" id proof ko edit kar ke.niche dekh sakte hai example.
4. Jab aapki fake id sussesfully create hojaye tab aap "Submit id proof" par visit kare.
5. Then us fake proof ko select karke fb par "Send" kardijye.
Apki fake proof bilkul orignal dikhni chaiye wrna pruf accpect nahi hoga.
Bytheway 2 hours ya fir 1 day bad apko email aayegi fb id reopen huye hai ya nahi. Jab id open hojayegi tab apka account verified banjayega congrats :D
Agr apko online id card banana hai to iss post ko padho " Create Nid card online For free"
Dosto Ye simple and easy methods hai facebook account ko verified banane ke liye lekin jo fake proof se verify karne ka method hai me uske liye apko recommend nahi karunga kyo ki ye ek taraf se cheating hai mene sirf edutional propose ke liye btaya h.
Please comment par jarur bataye ki aapki id verify huyi hai ya nahi and agar apke pas koi aur tarika hai id verify karne ka toh mujhe jarur suggest karna and apke friends ke saath fb account verify karne ka tarika jarur share kare.
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteHow to add taka plzz help
ReplyDeleteKalpesh bro, blogging par ap new ho toh pehle har blogger ko traffic ki pareshani hoti hai lekin dheere dheere traffic badhti hai jab apki posts google me show hone lagti hai.
ReplyDeleteAgar aap traffic badana chahate ho toh high quality posts kiya karo minimum har post me 1000 words hone chahiye aur keywords aap kud pta kr sakte ho agr ap fb ke trick ke bare me likh reh hai toh google search par jaye aur trick ke pehle 2 words dale "facebook kaise name" fr google apko keywords suggest karrga apko wo keywords ko note krke apki post par istemal karna hai frist paragrap aur last paragraph me
Mene fake id proof banali h .pr ye batao ki..id ki photo or Facebook account ki photo #same honi chahiye ya nhi?
ReplyDeleteApne jo question pucha hai wo simple hai " haa id proof me aur fb me photo diffrent hai toh chalega" .
DeleteBro Id proof me aur fb me photo aalag hai toh bilkul sahi hai isme koi galt ni hai..and proof kam karegi but DOB aur Name Bilkul Match hona chaiye ye bhut important hai
Bhai aapne jo IctFair likha hai.. Uspe click Kiya to pata nahi kya show kar raha
ReplyDeleteActually wo site ki expiry ho gyi h ispr jye cardmaker.ga
ReplyDelete